Qurbaan ki Zubani



Fauj ka safar hi hai, aj yahn toh kal vhn le jana,
kabhi barf bhari pahadia toh kabhi raegistan me sair karana.
Sair nahi hoti janab, din gin gin kar kat-te hai,
Aur phir ek shant din achanak se hum hi tukdo me bat-te hai.

Badal rahe the thikna, dil me apne parivar ko yad kie,
Par aj un darindon ne hai bhut gehre zakham die.
Ek mere saathi ke ghar kal hi ek nanhi lakshmi aai thi,
Usne use dekhne ki iccha abhi tak man me hi chupai thi.
Dusra dost bas aya hi tha kr k nayi nayi shadi,
Ab us dulhan ki jindgi me rango ki jgh ek safed shiyahi faila di.
Ek aur tha yar jiske maa baap the bUhdhape se lachar,
Chuuti le rakhi thi usne ghar jane me din the bas baki char.

Aur dekho toh hausla lete hai zimmevari bde shaunk se vo Jaish,
Kyunki jante hai inhe panah dene walon ko kra rhe hum hi aish.
Eccha toh bas dil me yeh hai unhe bhi ehsas dilana hai,
"laato ke bhoot baton se nahi mante" ye buddhijeevo ko b btlana hai.
Unone aaj humare khoon ko lalkara hai,
Unhe jihad , par agar hume apna desh pyara hai.

Mai yeh bhi janta hu kya hoga aage , bdlegin log status do char,
Fir bhul jyege aur manyeinge party har shukravar,
Gum ho jyega vo josh, jise keh reh the abtk “high” mere yar,
Aur satta ke log vote batorne ko tyar.

Is sab me bhi lelena bdla humari qurbani ka,
Us maa ke bete aur desh me ghus kar looti gyi us javani ka,
Milega ashish us bacchi, bivi , maa-baap ki jubani ka,
Reh na jye ek bhi ansh baki unka, aur unki kashmeer ko chin-ne ki kahani ka.
Vinti rahegi un JNU ke buddhi jeevo se,
Kum se kum ab toh na do unka sath,
Human rights dekh lena aap jakar ek bar humare bhi parivaron ke pas.



Comments

  1. Well Written...Asha
    RIP Brave Soldiers

    ReplyDelete
  2. Great work ashu.Well written ๐Ÿ‘๐Ÿ‘

    ReplyDelete
  3. Appreciate worthy efforts in expressing the deep thoughts. Kudos.

    ReplyDelete
  4. Truly said๐Ÿ™๐Ÿ™๐Ÿ™

    ReplyDelete
  5. Very well expressed, may their souls rest in peace๐Ÿ™

    ReplyDelete

  6. I hv no wrds to express my views regarding this uh did a very good job i was literally crying while reading this
    Well done๐Ÿ‘may their souls rest in peace

    ReplyDelete
    Replies
    1. awww roti kyu hai, abhi toh unko rulane ki bari ayi h ..

      Delete
  7. Asha u expressed yr thought well .. and salute to our bravehearts

    ReplyDelete
  8. Beautiful ๐Ÿ‡ฎ๐Ÿ‡ณ๐Ÿ‡ฎ๐Ÿ‡ณ๐Ÿ™๐Ÿ™

    ReplyDelete
  9. True Patriotism ๐Ÿ‡ฎ๐Ÿ‡ณ❤️

    ReplyDelete

Post a Comment