"Kumbathang" Yaadon ki baarat sang prakarti ki saugaat
Foolon se khili ye ghati,
Ya barf ki barsaat.
Khurmani se ladhe ye vrykash,
Aur surajmukhi muskurate hazar.
kal kal behti suru, aur uspar vo lakdi ka pull ,Yaad me chaap chord jane ko tyar.
Ye saamne khada aapko hi nihaarta,
Vishal sa ek shaant pahad.
Kargil ke veero ki gataha ,
Aur use grav se darshta "Drass".
Har mausam me rang badalta,
Aisa nazara hai ye kuch khaas.
Rahe hoge bhale desh ke kisi bhi Kone me aap hazar,
Par dil ke kone me Kumbathang ke lie hoga sada hi pyar.
Mann toh kabhi kabhi yun bhi karega,
ke bas Jate vahin," kaaash ".
Kehte hai" batein bhul jati hai, yaden yaad aati hai"
bilkul vese hi rahega sada mere sath, 'kumbathang' ki yaadon ka ehsaas.
Very well described.
ReplyDeleteKhumbathang is the very nice stn and the time spend at khumbathang is unforgettable
ReplyDelete