Sooraj Aur Chaand

 Same place same time, both in one world.. Chand aur Sooraj


kyu chand ki itni ahemiyat hai? 

jo khud ki roshni bhi tumhe nahi deta,

 jab ki sooraj din ho ya raat kisi na kisi zariye se apni roshni paucha hi deta hai.

 kyunki bas ye chand khoobsurat hai,

 par kya kabhi socha hai ke sooraj khud jal kar duniya ki sundarta toh aur badha deta hai, 

aur chand dusre se roshni lekr apni hi khoobsoorti badhata hai...

mujhe lagta hai kavatiyan jyda soorj par likhni chie, 

na ki chand par. 

jo kbhi rehta hai toh kbhi nahi,

 kbhi aadha toh kabhi pura,

 par sooraj vhin ka vahin sirf tumhara...

han mai kisi ka chand ya chandni nahi kisi ka sooraj banna chahungi...

 jalungi bhale khud me hi par apni garmahat se uski sard dino ko garmauni,

 han mai soorj banna chaungi,

 jise dekh k khil jaye sara jahan,

han tum mera chand ban skte ho

 hai toh vo bhi akela hi...

aur kbhi kbhi din me bhi aa jata hai...

Comments