Agar tu kehta
Agar tu kehta hum khud se khud ko juda kar ke bas tere ho jate
agr tu kehta is duniya me sab kuch chor sirrf tujh ko apna bnate
age tu kehta khud mit kar bhi ye ishq amar likh jate
agar tu kehta, din ko raat aur raat ko din tak keh jate
agr tu kehta!
agar tu kehta apna har ansu bhula teri khusion me ram jate
agr tu kehta nind apni ujaad tujhe goad me apni sari raat sulate
agr tu kehta chal padte khin bhi aur jab kehta tham jate,
agar tu kehta teri nazar utarne ko ankhon me kajal har roz lagate
agar tu kehta!
agar tu kehta subh tujhe chai ki pyali ke sath uthate
agar tu kehta shayam ko tera jaam ban jate
agar tu kehta hum vhin ke vhin thehar jate
magar tu nahi kehta
magar tu nahi kehta ther jao
magar tu nai kehta abhi na jao
magar tu nahi kehta mera saath nibhao
magar tu nahi kehta kuch pal bas meri ho jao,
kyunki ye tu bhi jaanta hai aur mai bhi,
hum ther jate, kbhai na jate,tere ho jate...
agar tu kehta!

☝️๐๐๐๐
ReplyDelete