Kya Hai Ye Zindgi!


This is a short poem just to depict the various sudden ups and downs that we face in our life, and motivates to live in the moment whether it is happy ones or sad. To be that stable being, and be ready to accept both the parts with strong hear and mind... If this creation touches your heart please do share your views in comment section.



Kya hai ye zindgi!

Kya hai ye zindgi, sach ya majak hai,
Kabhi saatve aasaman pe toh kabhi mitti khak hai.


Uncha udaye kabhi khushi ke jhulon pe,
Kabhi jhatt se gira de unhi jhulon se.
Jab lagne lge thandi si havaien chere pe, tab hi loo dhool bhari aati hai,
Aakhon ko jhonk phir mitti se, pal me udan girne me tapdeel ho jati hai.


Tab hi toh puch rahi, Kya hai ye zindgi, sach ya majak hai,
Kabhi satve aasaman pe toh kabhi mitti khak hai.


Han kehti nahi ye mai ke sirf khushi hi gum me bdalti hai,
Vo din bhi ek pal mein aata hai jab jindgi bin btaye rukh bdalti hai.
Yun lagta jese khuda ne ekdum se hai goad mein uthaya,
Jo baccha kabhi kardiya tha paraya.
Tab samaj nahi aata juth hai ya sach,
Dukh se bahar niklne ko ab rahe dar, aane wali khushi se rehte bach.
Khin phir agla pal dhul na chataye,
Khin is khusi ko phirse nazar kisi ki  na lag jaye.


Soch rahi ab mai bas ye baar baar,
Kya hai ye zindgi, sach ya majak hai,
Kabhi satve aasaman pe toh kabhi mitti khak hai.


Kyu na har khusi ko bin tole gale lga le,
Kyu na har mushkil ko bhi saathi apna bna le,
Kyu na dukh aane par bhi kre usi himmat-e-dil se saamna,
Kyu na ab na dama dol hone de apni hare ek bhavana.

Kaha hai ye han kisi samajdar insan ne:
“Insaan wahi jo haar aur jeet ko ek samaan le,
Na jeet me bda uncha ude aur na hi har jo nishtit maan le”

Ab khud hi kehti hu,
Kuch bhi ho ye zindgi,na sach na majak hai,
Bas khatte mithe palon se bhri ishwar ki saugat hai.
















Comments

Post a Comment