Poem on Virasat



Till the time I am busy finishing off my upcoming blog(I assure you "sabar ka fal mitha hota hai), here I have a poem which I wrote last year on topic VIRASAT  (Preservation of Indian heritage and culture). Hope you will like it.
                       Virasat-Ek sawal

Aaj ek hi sawal hai man mein,kya khoya kya paya hai humne?
Jo viron ki humare lie virasat thi ye dharti,kya ise usi kadar sanjoya hai humne?
Chale gye the vo toh humare lie azad sone ki chidiya chor,
Hare bhre maidan aur kheton main nachte mor,
Taxila nalanda ke guru shishya ki anmol kahani ti,
Shensheelta,prem,mehnat jese adarshon ki keemat sari duiya ne jani ti.
Bahu beti ke sar par pallu aur dil mein izzat beshumar,
Gandhi ,buddh aur vivekand ji k shudh aur anmol vichar,
Shunya ,dashamlav, shatranj aur bhakti ,Jo Di thi virasat
Khin kr toh nahi dia humne use tar tar?

Virasat mein mila tha hume EKta ka path,
Khete the aaj tk ek hai Hindu Muslim aur Sikh ,isai aur chlenge sath sath.
Jhan sikhya tha athiti devo bhava humare sanskaron ne,
Aaj ghar k devi devta ko bhar nikal paucha dia vraddhashram ke galiyaron mein.
Hasi aati hai mujje in samaj ke thekedaron pe,jindone bech Di humari virasat,
In lal batti wali caron mein, daru k theke  aur jismon k bazaron mein.
Bas aaj ek hi sawal hai mn mein ,kya paya toh kya khoya hai humne?
Jo mahapurushon ki thi virasat ye dharti kya use isi kadar sanjoya hai humne?


Mahabharata ,ramayan vedon se duiaya ko bhi gyan dia
Rani laxmi bai,razia sultan ne veerta se bharat ko abhiman dia.
Kitna sundr samay tha vo jb beti khelti thi mamta ki bahaon mein,
Aur aj is virasat ko kokh main hi Mara ,taki aa naa paaye in duniya ki nighaon mein
Aaj khene lagi hai beti h- suraj ki roshni b aag c lagti hai ,barish ki bundein b tezab c lagti hai
Use ab toh bacha lo use ye duniya dhokebaz c lagti hai
Phele virast mein toh thi bhau betion ki izzat sartaj,
Aur ab us virasat ko thokarr mar k kr dia kyu barbad?
Aaj ek hi sawal hai mn mein,kya paya kya khoya h humne?
Jo thi devion ki dharti virasat ye ,kya use usi last sanjoya h humne?


Kuch bnaya toh kuch bigadaa hai humne,
Kuch is terah bhavishya ko sajya hai humne .
aj tk smarakon aur desh ki prayatan ko bachya bhi hai humne ,
Humari Sanskrit se aur rangon se duniya ko sajya h humne,
Viggyan aur takneek se sar uthya h humne,
Toh dusri trf dhue se bhara Assam tofa deke sar jhukya h humne.
Mangti hun aap SB se aj ye hi javab
Ye amanat thi desh ki ,kyu humne kadar na ki?
Vo toh de gye the virasat,kyu humne fikar na ki?
Toh Aaiye,Padne nahi dene h Hume us virasat pr dhabbe lal kale
Na krege bhed bhav na khege h ye unche, ye niche, ye Gore aur ye kaale.
Chalo vada khud se hum sab krte hai
Aaj se nahi balke abhi se
Virasat ko sanjona shuru krte h....



Do comment what you VIRASAT is according to you in India and how can we preserve it for better and beautiful future. :)


Comments

Post a Comment